Saturday, January 15, 2011

Is Tarah Zindagi Ka Sath Hum Nibhate Hain

Lambi Katar Mein Khade Hokar Ticket Le Lete Hain,
Ek Dusre Par Girte Padte Metro Par Chadh Jaate Hain,
Hilte Dulte Takraate Aage Badh Jaate Hain,
Phir Bhi Sapno Ko Ek Din Paa Lenge Yeh Soch Muskurate Hain.

Tapti Dhoop Mein Chaw Thoondh Lete Hain,
Girti Barish Mein Sukha Kona Paa Lete Hain,
Phursat Ke Pal Mein Kuch Naya Soch Lete Hain,
Aur Kam Se Kam Itwar Ko To Zindagi Jee Lete Hain.

Khokhle Joke Sun Has Lete Hain,
Jhoothi Masti Mein Mast Ho Lete Hain,
Bhavishya Phal Mein Kuch Sapne Dhoondh Lete Hain,
Koi Nahi To Paaltu Kutte Se Hi Dil Behla Lete Hain.

Naye Saal Mein Kuch Nayi Ummeed Kar Lete Hain,
Zindagi Ki Chakki Mein Kuch Aur Pis Jaate Hain,
Chunav Ke Samay Vote Dekar Aate Hain,
Aur Har Paanch Saal Baad Ek Naya Dhokha Khate Hain.

Amiron Ke Girlfriend Ko Mehge Gift Hame Muh Chidhate Hain,
Unka Har Chota Daan To Har Din News Banate Hain,
Hamne To Sari Daulat Logo Ke Naam Rakh Chodi Hai,
Par Yeh Kahani Hum Kisi Ko Nahi Sunate Hain.

Nakli Dharmik Imaraton Ke Aage Sir Jhukate Hain,
Kisi Ke Sath Hum Koi Bair Nahi Nibhate Hain,
Kab Se Hum Ishwar Ko Apne Andar Dekh Baithe Hain,
Isliye Har Dukh Me Bhi Hum Muskurate Hain.

Rupaye Mein Khushi Nahi Dhoondte Hain,
Bachchon Ki Hasi Ko Man Me Kaid Karte Hain,
Duniya Ke Rangmanch Par Apna Part Nibhate Hain,
Aur Logon Ko Gam Me Bhi Hum Hasate Hain.

Is Tarah Zindagi Ka Sath Hum Nibhate Hain,
Ki Har Andhere Mein Bhi Roshani Dhoondh Laate Hain.



No comments:

Post a Comment