Sunday, January 23, 2011

Ishq Ka Nasha Har Din Chadhta Hai

Hui Ek Chowrahe Par Unse Mulaqat,
Naino Se Hui Naino Ki Do Baat,
Pal Bhar Me Hue Hamare Naina Chaar,
Lagta Tha Yaaro Ho Gaya Tha Hame Bhi Pyaar.

Jabtak Khud Ko Sambhalta Ho Gayi Thi Bahut Der,
Pata Nahin Wo Pal Me Nikal Gayi Thi Kis Ore,
Us Chaurahe Par jaakar Dhondhta Tha Usko Mai Roz,
Akhir Ab To Mujhe Karna Hi Tha Propose.

Ek Din Mayush Mai Laut Raha Tha,
Har Chehre Ko Takatak Dekh Raha Tha,
Achanak Bus Ki Ek Khidki Par Use Maine Dekha,
Meri Ankhe Nahin Kha Sakti Thi Dhokha.

Signal Par Bus Dheere Se Ruki,
Aur Bus Se Haule Se Wo Bahar Nikli,
Achanak Mai Uske Samne Khada Tha,
Aur Isbaar Pyar Se Usne Bhi Dekha Tha.

Phir Kya Tha Suru Hui Hamari Kahani,
Maana Ho Chuki Hai Ab Ye Poorani,
Par Pyar Har Din Uske Liye Badhta hai,
Har Din Ishq Ka Ek Naya Nasha Mujhpar Chadhta hai.

Monday, January 17, 2011

Break Ke Baad Anjaana Anjaani Ka Kya Hota Hai

My Name Is Khan,
Main Dabang hun,
Peepli se live bole raha hun,
Aur Pyaar Impossible ki kahani keh raha hun.

Once Upon a Time in Mumbai,
Ek Anjaana Ek Anjaani tarap rahe the,
Break Ke Baad  apne aap ko adjust kar rahe the,
Aur I Hate Love Story ki baat kar rahe the.

 Road, Movie us din cinema hall me lagi thi,
Jo ki pehle se hi Housefull chal rahi thi,
Badmash Company ticket black kar rahi thi,
Aur public Band, Baaja, Baraat pahuchi thi.

Bheed Dekh woh Khichdi, The Movie ka ticket lete hain,
Ek doosre ki nazron se Hide and Seek ka game khelte hain,
Nazar milne par bhi Love, Sex and Dhokha ko yaad karte hain,
Chah kar bhi kuch mehsus nahi karte aur Antardwand se guzarte  hain.

Right Ya Wrong ke woh chakkar me phase the,
Road To Sangam ko dhund rahe the,
Lafange Parinde ishq se kaise bachte,
Is rog se ab Knock Out ho gaye the.

Anjaana bahut Veer tha,
Use is naye riste se No Problem tha,
Usne Anjaani ko Hello Darling kaha,
Aur apne Apartment ka address diya.

Bola Donno Y Na Jaane Kyon,
Is Life Me tum pe  hi marne laga hun,
Jaane Kahan Se Tu Ayi hai,
Dil me Action Replay kar Gayi Hai.

Anjaani Boli Jhoota Hi Sahi par tu bada cute hai,
Ramaa-The Saviour ka doot hai,
Ab tumhase hi beintahan mohabbat ki Ashayein Hain,
Toote na Ye sapna yahi rab se Guzaarish hai.

Ab jald hi We Are Family honge,
Tu hi mera  Prince Hoga,
Hamari Ishqiya  rang layegi,
Aur My Friend Ganesha Ki Sada Kripa Hogi.

Saturday, January 15, 2011

Is Tarah Zindagi Ka Sath Hum Nibhate Hain

Lambi Katar Mein Khade Hokar Ticket Le Lete Hain,
Ek Dusre Par Girte Padte Metro Par Chadh Jaate Hain,
Hilte Dulte Takraate Aage Badh Jaate Hain,
Phir Bhi Sapno Ko Ek Din Paa Lenge Yeh Soch Muskurate Hain.

Tapti Dhoop Mein Chaw Thoondh Lete Hain,
Girti Barish Mein Sukha Kona Paa Lete Hain,
Phursat Ke Pal Mein Kuch Naya Soch Lete Hain,
Aur Kam Se Kam Itwar Ko To Zindagi Jee Lete Hain.

Khokhle Joke Sun Has Lete Hain,
Jhoothi Masti Mein Mast Ho Lete Hain,
Bhavishya Phal Mein Kuch Sapne Dhoondh Lete Hain,
Koi Nahi To Paaltu Kutte Se Hi Dil Behla Lete Hain.

Naye Saal Mein Kuch Nayi Ummeed Kar Lete Hain,
Zindagi Ki Chakki Mein Kuch Aur Pis Jaate Hain,
Chunav Ke Samay Vote Dekar Aate Hain,
Aur Har Paanch Saal Baad Ek Naya Dhokha Khate Hain.

Amiron Ke Girlfriend Ko Mehge Gift Hame Muh Chidhate Hain,
Unka Har Chota Daan To Har Din News Banate Hain,
Hamne To Sari Daulat Logo Ke Naam Rakh Chodi Hai,
Par Yeh Kahani Hum Kisi Ko Nahi Sunate Hain.

Nakli Dharmik Imaraton Ke Aage Sir Jhukate Hain,
Kisi Ke Sath Hum Koi Bair Nahi Nibhate Hain,
Kab Se Hum Ishwar Ko Apne Andar Dekh Baithe Hain,
Isliye Har Dukh Me Bhi Hum Muskurate Hain.

Rupaye Mein Khushi Nahi Dhoondte Hain,
Bachchon Ki Hasi Ko Man Me Kaid Karte Hain,
Duniya Ke Rangmanch Par Apna Part Nibhate Hain,
Aur Logon Ko Gam Me Bhi Hum Hasate Hain.

Is Tarah Zindagi Ka Sath Hum Nibhate Hain,
Ki Har Andhere Mein Bhi Roshani Dhoondh Laate Hain.



Friday, January 14, 2011

Munna Bhai Biometric Card Par

Circuit Munna Bhai se bola..Bhai suna hai Sarkar ek aisa card la rehla  hai jisse har kisi ka biodata Maamuo Ke paas pahunch jayega… haan Circuit..is card ko Biometric card bolte hain ..bole to tere akkhe life ka poora data Maamuo Ko malum par jayega…Ye to bada khatarnak hai Bhai..Ab saala akkhe India ko maloom par jayega ki apun kaun si naap ka chaddi pehanta hai..are aisa nahi hai..sarkar ke paas is card se citizen ke baare me total information aa jayega..bole to track karne me easy hoyega..par bhai agar Maamuo ne is ka galat istemal kiya to lene ke dene par jayenge..aur Bhai  apun ke secret dhande ki to wat lag jayegi.aur agar iska duplicate nikla to bhai bada bawaal  hoyega..Correct Circuit..ye badi samasya ho jayegi..saala Sarkari depertment me to aise hin corruption hai..kahin data leak hoyega to sab kuch kaafi complicated ho jayega..Bhai apun to apna data nahi dega..are Circuit tere dhande se jyada akkhe desh ki baat hai ..are Sarkar ke niyam ko to saari janta ko manana hoga..ab har achhe cheez ke sath kuch side effect to hota hi hai..sahi hai bhai..apun ko lagta hai Sarkar ko kaafi precaution lena hoga..haan re par locha bhi ho sakta hai..Bhai apna desh hai na sochta achha hai par Videshi system ko follow karne me locha ho jata hai..sach hai re..ye project akkhe duniya me reject kar diya gaya hai..bole to Canada, Phillipins, Australia, China aadi desh me public ne virodh kar ise band karwa diya hai..bas is project ka head Mr. Nilekani bada accha banda hai..Sayad sab thik rahe..Haan Bhai aisa ho to achha hoyega..par bhai garib logon ko to kuch pata nahi hota aur unke sath kaafi jyadati ho sakti hai..sach hai re..mujhe lagta hai sarkar ko ise kaafi soch samajh ke introduce karna chahiye ..jaldi jaldi me garbar ho sakta hai..haan bhai..Bhai kal apke Chikne ne, jo hamesha angezi chatta hai, kaha Ki ‘Realty’ me na bahut locha hai…sabhi building kamzor material se bane hain..aur bahut gundagardi hai..To Maine Keh Diya..nahi Chikne Vastav movie me building bahut mazboot thi..dekha..ladke kitni bhag daur kadte the par building nahi gidti thi..aur gundagardi mazboori me hui thi..abe ade Realty matlab Vastav nahi ab thonk dalunga tujhe..’Realty’ matlaw jo Maamu log building banana ka dhanda karte hai na wahi..sachme tu ada hai..bhai mai to bas English sikhne ki kosish kar raha hun..Mat kar mere Baap..isse accha tu hindi me hi baat kar..sahi hai bhai..apni hindi bhi to masa allah…hi hi hii..




Thursday, January 13, 2011

Mohhabat Ki Ek Adhuri Kahani

Ki Hamare Mohhabat Ki Adhuri Kahani,
Sun Lo Aaj Tum Meri Jubani,
Kuch Pal Soch Tum Kuch Faisala Karna,
Gar Pasand Aaye To Hamare Liye Dua Karna.

Hua Yun Ki Jeevan Ke Ek Mod Par Hum Mil Gaye,
Dono Ke Ankho Me Kuch Zazbaat Khil Gaye,
Sang Liye Hathon Me Hath Hum Chal Pade,
Puri Tarah Ek Dusare Ke Pyaar Me Gir Pade.

Kuch Sapno Kuch Haqiqaton Ka Sath Tha,
Aur Ek Dusre Ke Hathon Me Hath Tha,
Har Musibat Ko Hamne Pyaar Se Jhela,
Kabhi Nahi Paaya Humne Khud Ko Akela.

Par Kya Pata Tha Bhagya Naya Khel Rach Raha Tha,
Hamari Kahani Mein Ek Naya Mor Likh Raha Tha,
Kuch Saal Ke Liye Hona Para Hame Juda,
Par Socha Yeh Haal Nahi Rahega Hamare Sath Sada.

Ab Duriyan To Kaatna Mushkil Tha,
Har Ek Pal Akele Bitana Pralay Tha,
Phir Bhi Mobile Ka To Hame Pura Sath Tha,
Har Ghante Ek Dusare Ko Sunna Bahut Khaas Tha.

Kabhi Kabhi Kuch Choti Mulakatein Bhi Hui,
Sapno Ko Jaldi Pura Karne Ki Baatein Bhi Hui,
Dheere Dheere Phone Par Milna Bhi Mushkil Hua,
Par Ek Dusare Ke Liye Hamara Pyar Kabhi Kam Nahi Hua.

Hamne Socha Kismat Khud Likh Dalenge,
Sapno Ko To Jaldi Hi Pura Kar Dalenge,
Isliye Phikr Chod Ek Dusare Se Choti Choti Baaton Par Ladna Suru Kiya,
Sahi Nahi Tha Par Phir Bhi Apni Baaton Par Adna Suru  Kiya.

Judai Ke Waqt Ko Hamne Kisi Tarah Pura Kiya,
Tabhi Unhone Liya Ek Phaisla Naya,
Nahi Ab Rakhna Hai Koi Rishta Hame Tumse,
In Anshuon Ka Lena Hai Hisaab Aaj Se.

Itna Dukhi Kiya Unhe Yeh Jaan Na Paya,
Hosh Aaya To Khud Ko Akela Paya,
Ab Hame Sada Unse Door Rehna Hai,
Kisi Mod Pe Dikh Gaye To Ajnabi Ke Tarah Milna Hai.

Kya Bataye Kis Tarah Jindagi Ke Bikhre Tinko Ko Joda Hai,
Kis Tarah Apne Rah Ko Unki Rah Se Moda Hai,
Rahein Kush Sada Woh  Yeh Dua Karta Hun,
Par Har Pal Aaj Bhi Unpe Hi Marta Hun.

Doston Unke Liye Aap Bhi Dua Karna,
Kisi Dukh Ka Unhe Nahi Karna Pade Samna,
Hamara Kya Hai Hum To Kisi Tarah Jee Lenge,
Har Pal Zindagi Mein Do Chaar Anshu Pee Lenge.






Wednesday, January 12, 2011

Duniya Ke Niyamon Par Bas Hanste Hain

Dekha Hai Tarapte Doston Ko,
Duniya Ki Nakaami Ko Apne Kandhe Par Dhote,
Thak Chuke Hain Samaj Ke Khokhle Niyamon Ko Maante,
Ishliye Baron Ka Virodh Karna Hi Sahi Jaante.

Unka Man Bhi Kabhi Nishchal Tha,
Par Har Kadam Par Logon Ne Chala Tha,
Ishliye Kehte Hain Ki Ham Kyon Samaj Ke Niyam Maane,
Aapne Banaya Hai To Ab Aap Hi  Jaane.

Phir Bhi Garibon Ki Madad Karte Hain,
Donation Dene Mein Peeche Nahi Hatte Hain,
Logon Ke Liye Kuch Karna Chahte Hain,
Par Kaise Karein Sahi Raste Ko Nahi Pehchante hain.

Lakshya Ko Agar Woh Jaan Le,
Sahi Raaste Ko Agar Pehchaan Le,
Kar Jaayenge Kuch Kaam Naya,
Samjhenge Hamne Jeevan Ko Poori Tarah Jiya.

Par Nahi Milta Sahi Jawab Unhe,
Dikhte Nahi Chehre De Samman Jinhe,
Isliye Apne Hi Raaste Chalte Hain,
Duniya Ke Niyamon Par Bas Haste hain


Tuesday, January 11, 2011

Kise Ab Yeh Haal Batayein

Mehgayi Ki Hi To Maar Hai,
Jeb Me Bas Rupaye Chaar Hai,
Salary Mein Ab Kahan Uchaal Hai,
Jeevan Jeena Lagta Ab Janjal Hai.

Garibi Rekha Ab Taank Jhaank Rahi Hai,
Kise Kaise Maape Ye Sawal Pooch Rahi Hai,
Khane Mein Ab  Pyaz Kahan Hai,
Aur Nanhi Bitiya Bhi Hone Ko Jawan Hai.

Kis Tarah Ab Hum Apna Haal Batayein,
Kaise Zimmedarion Se Muh Chupayein,
Lagta Hai Pyaz Ke Tarah Khud Pis Jayein,
Kab Tak Rasoi Ki Zimmedarion Par Hi Anshu Bahayein.

Kho Rahe Hain Har Sapne Ko,
Dekh Rahe Hain Mayush Har Apne Ko,
Thodi Salary Ka Kya Achar Banayein,
Kis Sarkar Ko Jaakar Ye Haal Batayein.

Bolte Hain Mehgayi To Badhti Hi Hai,
Price To Dheere Dheere Rise Hota Hi Hai,
Tum Ab Ise Mat Bahana Banana,
Paanch Saal Mein Ek Baar Hame Zaroor Vote Dekar Aana.

Ek Taraf Marte Hain Pet Par Laat,
Doosri Taraf Karte Hain Vikash Ki Baat,
Har Tarakki Ki Hum Garib Hi Kyon Keemat Chukayein,
Kyon Nahi Hum Apna Kada Virodh Jatayein.

Par Sunta Hai Kaun In Baaton Ko,
Kise Sunna Hai Hamare Zazbaaton Ko,
Hum To Bas Aise Hi Bakwas Karte Hain,
Kuch Badal Jaye Isliye Aapse Sambaad Karte Hain.